Saturday, March 9, 2019

Jaisi Thi Bas Meri Thi ...


Jaise hi bhi thi bas meri thi 
Uss subh mein akela bas baitha sa tha ....
kisike khayaalo mein khoyaa hua tha ....
na jaane mujhe kya hogayaa tha  .......mein itna dubba hua tha ki mujh paagal ko yeh tak pataa na chalaa ki subh se shaam kab hogayi ....mein bas uske khayaalo mein hi tha ......ki mera dost mujhse kehne lagaa bhai sunn bhai sunn ....mein achanak usse dekh gabra sa gayaa ....woh mujhe dekh puchne laga kiske khayaalo mein hai re .... ab doston ka kya kehna ....unne toh bas mauka hona ....phir kehne lagaa bol bol koun hai woh jiske tu khayaalo mein khoyaa hua hai .....aur mere mann toh bas ladoo putre the par chehre pe anjaane pan ka muhkota ( mask) pehen kar kisike baare mein nhi ....par mein ne kaha tha na dost ka kya kehna woh mere chalaaki ko pehchaan liye the aur phir puchne lagae koun hai woh ....ab mein bhi meri kushi rok nhi paara tha ....phir kya usse bas woh kaisi dikhti hai bataane lagaa 
Woh auro se bahut hi alag hai ....usmein auro ladkyon  ke jaisa sharmaana ....sajna sawarna usmein woh baat hi nhi par jaisi bhi hai par meri hai 
Woh toh aisi hai jo dusro ko chup karaa de ...usse dekhne par  koi nhi kehsakta ki woh ek ladki hai uska woh jalla pan uska woh chalna ....baate karne ka tareeka woh sab toh bas uska hi hain.....woh aur jaisi nhi hai par jaise hi bhi meri hai .....woh uska teddy bear se jaadh bike se pyaar karna ....baat baat pe logon se bhidh jaana   ....kisi ke aage na jukna ....woh auro jaisi nhi hai par jaisi bhi hai meri hai .....uska woh chashmah jab woh baat karte hue baar baar neeche aajata hai aur usse phir apne naak se upar karna...
Uska hamesha woh khilkhilaata chehra....uski woh mushurahat aur woh uska woh aur ladko ko tashan dena...... badi hi alag si hai uske jaisa hi shaayad koi aur hoga .........par jaisi bhi hai meri hai ....uski woh masoomiyat jo chahke bhi mujhe uske khayaalo mein se nhi aane deti ... bas yeh hi woh meri jallli si paagal sii bachi sii dikhne waali ....par jaisi bhi hai bas meri hai.

No comments:

Post a Comment